Ahmad Mushtaq

ujla tera bartan hai aur saf tera pani

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
ujlā tirā bartan hai aur saaf tirā paanī
ik umr kā pyāsā huuñ mujh ko bhī pilā paanī
hai ik ḳhat-e-nādīda dariyā-e-mohabbat meñ
hotā hai jahāñ aa kar paanī se judā paanī
donoñ hī to sachche the ilzām kise dete
kānoñ ne kahā sahrā āñkhoñ ne sunā paanī
kyā kyā na milī miTTī kyā kyā na dhuāñ phailā
kaalā na huā sabza mailā na huā paanī
jab shaam utartī hai kyā dil pe guzartī hai
sāhil ne bahut pūchhā ḳhāmosh rahā paanī
phir dekh ki ye duniyā kaisī nazar aatī hai
'mushtāq' mai-e-ġham meñ thoḌā sā milā paanī
Top Urdushayar.com