rab raTā tā-umr lekin rab samajh paa.e nahīñ
ishq kar ke ishq kā matlab samajh paa.e nahīñ
aap ko patthar kī mūrat meñ faqat patthar dikhā
aap sab kuchh jaan kar bhī sab samajh paa.e nahīñ
zindagī ne ishq kī bārīkiyāñ samjhā.ī par
jab samajhnā thā hameñ ham tab samajh paa.e nahīñ
kis liye āñkhoñ ne pahnā āñsūon kā pairahan
ye haqīqat muskurāte lab samajh paa.e nahīñ
har parā.ī shai ko apnā maan kar jiite rahe
aur apne aap ko ham sab samajh paa.e nahīñ