mirī ḳhamoshī ko bhī ik sadā samajhte rahe
maiñ kyā thā aur mujhe log kyā samajhte rahe
hamārī nasl ko ujlat ne nā-murād kiyā
zarā se shor ko ye der-pā samajhte rahe
ye dost mere mujhe aaj tak na jaan sake
maiñ ek dard thā lekin davā samajhte rahe
dikhā.ī detā thā ye shahr merī āñkhoñ se
yahāñ ke log mujhe aa.ina samajhte rahe
ḳhayāl-e-yār kī chādar thī ek ḳhvāb 'azīz'
ye aur baat use ham qabā samajhte rahe