kuchh aise tere badan kā yahāñ nishāñ khulegā
ki jis tarah se samundar meñ bādbāñ khulegā
ye sochte hī mire hāth-pāoñ phuul ga.e
mirā nishān kahānī meñ kab kahāñ khulegā
guzarte vaqt kisī ko ḳhabar nahīñ thī yahāñ
ki ek dam se diloñ par ye ḳhāk-dāñ khulegā
maiñ dā.eñ-bā.eñ kisī aur samt bhī dekhūñ
kise ḳhabar ki kahāñ se ye darmiyāñ khulegā
yahāñ ye kaun tujhe yaad rakkhegā ai 'azīz'
ki tere ba.ad hī ye zikr-e-dostāñ khulegā