yuuñ ḳhud ko ḳhvāhishāt ke akasr dikhā.e rañg
holī meñ jaise koī akele uḌaa.e rañg
dil se bhulā ke zehn kī vīrāniyoñ kā ġham
dīvār-o-dar pe sab ne haiñ kyā kyā sajā.e rañg
tasvīr jo banā.ī hai apnoñ ke vāste
Dar hai ki us meñ log na DhūñDeñ parā.e rañg
tohfe maiñ duuñ kisī ko ye hasrat hī rah ga.ī
muddat se chuTkiyoñ meñ huuñ maiñ bhī dabā.e rañg
rañgīni-e-hayāt ne us se vafā na kī
jis ne mirī nigāh meñ aḳhtar basā.e rañg