Ahmad Mushtaq

har lamha zulmaton ki KHudai ka waqt hai

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
har lamha zulmatoñ kī ḳhudā.ī kā vaqt hai
shāyad kisī kī chehra-numā.ī kā vaqt hai
kahtī hai sāhiloñ se ye jaate samay kī dhuup
hushyār naddiyoñ kī chaḌhā.ī kā vaqt hai
hotī hai shaam aañkh se aañsū ravāñ hue
ye vaqt qaidiyoñ kī rihā.ī kā vaqt hai
koī bhī vaqt ho kabhī hotā nahīñ judā
kitnā aziiz us kī judā.ī kā vaqt hai
dil ne kahā ki shām-e-shab-e-vasl se na bhaag
ab pak chukī hai fasl kaTā.ī kā vaqt hai
maiñ ne kahā ki dekh ye maiñ ye havā ye raat
us ne kahā ki merī paḌhā.ī kā vaqt hai
Top Urdushayar.com