Ahmad Mushtaq

kahun kis se raat ka majra nae manzaron pe nigah thi

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
kahūñ kis se raat kā mājrā na.e manzaroñ pe nigāh thī
na kisī kā dāman-e-chāk thā na kisī kī tarf-e-kulāh thī
ka.ī chāñd the sar-e-āsmāñ ki chamak chamak ke palaT ga.e
na lahū mire hī jigar meñ thā na tumhārī zulf siyāh thī
dil-e-kam-alam pe vo kaifiyat ki Thahar sake na guzar sake
na hazar hī rāhat-e-rūh thā na safar meñ rāmish raah thī
mire chār-dāñg thī jalvagar vahī lazzat-e-talab-e-sahar
magar ik ummīd-e-shikasta-par ki misāl-e-dard siyāh thī
vo jo raat mujh ko baḌe adab se salām kar ke chalā gayā
use kyā ḳhabar mire dil meñ bhī kabhī ārzū-e-gunāh thī
Top Urdushayar.com