ġham-ḳhāna-e-hastī meñ hai mehmāñ koī din aur
kar le hameñ taqdīr pareshāñ koī din aur
mar jā.eñge jab ham to bahut yaad karegī
jī bhar ke satā le shab-e-hijrāñ koī din aur
turbat vo jagah hai ki jahāñ ġham hai na hairat
hairat-kada-e-ġham meñ haiñ hairāñ koī din aur
yāroñ se gila hai na azīzoñ se shikāyat
taqdīr meñ hai hasrat-o-hirmāñ koī din aur
pāmāl-e-ḳhizāñ hone ko haiñ mast bahāreñ
hai sair-e-gul-o-husn-e-gulistāñ koī din aur
ham sā na milegā koī ġham-dost jahāñ meñ
taḌpā le ġham-e-gardish-e-daurāñ koī din aur
qabroñ kī jo rāteñ haiñ vo qabroñ meñ kaTeñgī
ābād haiñ ye zinda shabistāñ koī din aur
rañgīnī-e-nuz.hat pe na maġhrūr ho bulbul
hai rañg bahār-e-chamanistāñ koī din aur
āḳhir ko vahī ham vahī zulmāt-e-shab-e-ġham
hai nūr-e-ruḳh-e-māh-e-daraḳhshāñ koī din aur
āzād hoñ aalam se to āzād huuñ ġham se
duniyā hai hamāre liye zindāñ koī din aur
hastī kabhī qudrat kā ik ehsān thī ham par
ab ham pe hai qudrat kā ye ehsāñ koī din aur
la.anat thī gunāhoñ kī nadāmat mire haq meñ
hai shukr ki us se haiñ pashemāñ koī din aur
shevan ko koī ḳhuld-e-barīñ meñ ye ḳhabar de
duniyā meñ ab 'aḳhtar' bhī hai mehmāñ koī din aur