Akhtar Shirani

gham-e-zamana nahin ek azab hai saqi

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
ġham-e-zamāna nahīñ ik azaab hai saaqī
sharāb lā mirī hālat ḳharāb hai saaqī
shabāb ke liye tauba azaab hai saaqī
sharāb lā mujhe pās-e-shabāb hai saaqī
uThā piyāla ki gulshan pe phir barasne lagī
vo mai ki jis kā qadah māhtāb hai saaqī
nikāl parda-e-mīnā se duḳhtar-e-raz ko
ghaTā meñ kis liye ye māhtāb hai saaqī
tū vā.izoñ kī na sun mai-kashoñ kī ḳhidmat kar
gunah savāb kī ḳhātir savāb hai saaqī
zamāne-bhar ke ġhamoñ ko hai dāvat-e-ġharrā
ki ek jaam meñ sab kā javāb hai saaqī
kalām jis kā hai me.arāj 'hāfiz'-o-'ḳhayyām'
yahī vo 'aḳhtar'-e-ḳhāna-ḳharāb hai saaqī
Top Urdushayar.com