umr-bhar kī talḳh bedārī kā sāmāñ ho ga.iiñ
haa.e vo rāteñ ki jo ḳhvāb-e-pareshāñ ho ga.iiñ
maiñ fidā us chāñd se chehre pe jis ke nuur se
mere ḳhvāboñ kī fazā.eñ yūsufistāñ ho ga.iiñ
umr-bhar kam-baḳht ko phir niiñd aa saktī nahīñ
jis kī āñkhoñ par tirī zulfeñ pareshāñ ho ga.iiñ
dil ke pardoñ meñ thiiñ jo jo hasrateñ parda-nashīñ
aaj vo āñkhoñ meñ aañsū ban ke uryāñ ho ga.iiñ
kuchh tujhe bhī hai ḳhabar o sone vaale naaz se
merī rāteñ luT ga.iiñ nīndeñ pareshāñ ho ga.iiñ
haa.e vo māyūsiyoñ meñ merī ummīdoñ kā rañg
jo sitāroñ kī tarah uTh uTh ke pinhāñ ho ga.iiñ
bas karo o merī rone vaalī āñkhoñ bas karo
ab to apne zulm par vo bhī pashemāñ ho ga.iiñ
aah vo din jo na aa.e phir guzar jaane ke ba.ad
haa.e vo rāteñ ki jo ḳhvāb-e-pareshāñ ho ga.iiñ
gulshan-e-dil meñ kahāñ 'aḳhtar' vo rañg-e-nau-bahār
ārzūeñ chand kaliyāñ thiiñ pareshāñ ho ga.iiñ