Akhtar Shirani

meri sham-e-gham ko wo bahla rahe hain

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
mirī shām-e-ġham ko vo bahlā rahe haiñ
likhā hai ye ḳhat meñ ki ham aa rahe haiñ
Thahar jā zarā aur ai dard-e-furqat
hamāre tasavvur meñ vo aa rahe haiñ
ġham-e-āqibat hai na fikr-e-zamāna
piye jā rahe haiñ jiye jā rahe haiñ
nahīñ shikva-e-tishnagī mai-kashoñ ko
vo āñkhoñ se mai-ḳhāne barsā rahe haiñ
vo rashk-e-bahār aane vaalā hai 'aḳhtar'
kañval hasratoñ ke khile jā rahe haiñ
Top Urdushayar.com