Akhtar Shirani

baja ki hai pas-e-hashr hum ko karenge pas-e-shabab pahle

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
bajā ki hai pās-e-hashr ham ko kareñge pās-e-shabāb pahle
hisāb hotā rahegā yārab hameñ mañgā de sharāb pahle
fazā-e-shab hañs ke jagmagā.ī vo nāznīñ sub.h ban ke aa.ī
huā hai raushan mire shabistāñ meñ chāñd se āftāb pahle
zabāñ pe aayā na harf-e-matlab ki kah ga.iiñ kuchh sharīr nazreñ
savāl karne na paa.e haiñ ham ki mil gayā hai javāb pahle
jināñ meñ pahle-pahal piyegā to laḌkhaḌātā phiregā zāhid
surūr-e-kausar kī hai agar dhan jahāñ meñ pī le sharāb pahle
hai ḳhusrav-e-ishq kā ye farmāñ ki dil lagānā nahīñ hai āsāñ
jise ho kū-e-butāñ kā armāñ vo kū-ba-kū ho ḳharāb pahle
ġham-o-alam ranj-o-yās-o-hasrat uThā.ūñgā sab ke ruḳh se parde
tumheñ qasam hai dil hazīñ kī uThāo to tum naqāb pahle
ilāhī vo bū-e-pairahan se bhī pahle ho ham-kanār aa kar
chaman meñ hotā hai jalva-afroz phuul se māhtāb pahle
ye kis ke rañg-e-ruḳh-e-bahārīñ ne baḳhsh dī hai tarāvat-e-nau
shagufta hotā na thā gulistāñ meñ us adā se gulāb pahle
nigāh-e-sāqī kī muskurā.ī kahā jab 'aḳhtar' ne apnī dhan meñ
piyeñge piite raheñge mai-kash magar ye ḳhāna-ḳharāb pahle
Top Urdushayar.com