Akhtar Shirani

meri aankhon se zahir KHun-fishani ab bhi hoti hai

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
mirī āñkhoñ se zāhir ḳhūñ-fishānī ab bhī hotī hai
nigāhoñ se bayāñ dil kī kahānī ab bhī hotī hai
surūr-ārā sharāb-e-arġhavānī ab bhī hotī hai
mire qadmoñ meñ duniyā kī javānī ab bhī hotī hai
koī jhoñkā to laatī ai nasīm atrāf-e-kan.āñ tak
savād-e-misr meñ ambar-fishānī ab bhī hotī hai
vo shab ko mushk-bū pardoñ meñ chhup kar aa hī jaate haiñ
mire ḳhvāboñ par un kī mehrbānī ab bhī hotī hai
kahīñ se haath aa jaa.e to ham ko bhī koī lā de
sunā hai is jahāñ meñ shādmānī ab bhī hotī hai
hilāl o badr ke naqshe sabaq dete haiñ insāñ ko
ki nākāmī binā-e-kāmrānī ab bhī hotī hai
kahīñ aġhyār ke ḳhvāboñ meñ chhup chhup kar na jaate hoñ
vo pahlū meñ haiñ lekin bad-gumānī ab bhī hotī hai
samajhtā hai shikast-e-tauba ashk-e-tauba ko zāhid
mirī āñkhoñ kī rañgat arġhavānī ab bhī hotī hai
vo barsāteñ vo bāteñ vo mulāqāteñ kahāñ hamdam
vatan kī raat hone ko suhānī ab bhī hotī hai
ḳhafā haiñ phir bhī aa kar chheḌ jaate haiñ tasavvur meñ
hamāre haal par kuchh mehrbānī ab bhī hotī hai
zabāñ hī meñ na ho tāsīr to maiñ kyā karūñ nāseh
tirī bātoñ se paidā sargirānī ab bhī hotī hai
tumhāre gesuoñ kī chhāñv meñ ik raat guzrī thī
sitāroñ kī zabāñ par ye kahānī ab bhī hotī hai
pas-e-tauba bhī pī lete haiñ jām-e-ġhuncha-o-gul se
bahāroñ meñ junūñ kī mehmānī ab bhī hotī hai
koī ḳhush ho mirī māyūsiyāñ fariyād kartī haiñ
ilāhī kyā jahāñ meñ shādmānī ab bhī hotī hai
butoñ ko kar diyā thā jis ne majbūr-e-suḳhan 'aḳhtar'
laboñ par vo navā-e-āsmānī ab bhī hotī hai
Top Urdushayar.com