Akhtar Shirani

ashk-bari na miTi sina-figari na gai

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
ashk-bārī na miTī sīna-figārī na ga.ī
lāla-kārī kisī sūrat bhī hamārī na ga.ī
kūcha-e-husn chhuTā to hue rusvā-e-sharāb
apnī qismat meñ jo likkhī thī vo ḳhvārī na ga.ī
un kī mastāna nigāhoñ kā nahīñ koī qusūr
nāseho zindagī ḳhud ham se sañvārī na ga.ī
chashm-e-mahzūñ pe na lahrā.ī vo zulf-e-shādāb
ye parī ham se bhī shīshe meñ utārī na ga.ī
muddateñ ho ga.iiñ bichhḌe hue tum se lekin
aaj tak dil se mire yaad tumhārī na ga.ī
shaad o ḳhandāñ rahe ham yuuñ to jahāñ meñ lekin
apnī fitrat se kabhī dard-shi.ārī na ga.ī
saikḌoñ baar mire sāmne kī tauba magar
tauba 'aḳhtar' ki tirī bāda-gusārī na ga.ī
Top Urdushayar.com