raat phir rañg pe thī us ke badan kī ḳhushbū
dil kī dhaḌkan thī ki uḌte the lahū meñ jugnū
jaise har shai ho kisī ḳhvāb-e-farāmosh meñ gum
chāñd chamkā na kisī yaad ne badlā pahlū
sub.h ke zīna-e-ḳhāmosh pe qadmoñ ke gulāb
shaam kī band havelī meñ hañsī kā jaadū
sehn ke sabz añdhere meñ damakte ruḳhsār
saaf bistar ke ujāle meñ chamakte gesū
jhilmilāte rahe vo ḳhvāb jo puure na hue
dard bedār Tapaktā rahā aañsū aañsū