Akhtar Shirani

hazin hai bekas-o-ranjur hai dil

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
hazīñ hai bekas-o-ranjūr hai dil
mohabbat par magar majbūr hai dil
tumhāre nuur se ma.amūr hai dil
ajab kyā hai ki rashk-e-tūr hai dil
tumhāre ishq se masrūr hai dil
abhī tak mast hai maḳhmūr hai dil
kiyā hai yaad us yād-e-jahāñ ne
ilāhī kis qadar masrūr hai dil
bahut chāhā na jaa.eñ tere dar par
magar kyā kījiye majbūr hai dil
faqīrī meñ use hāsil hai shāhī
tumhāre ishq par maġhrūr hai dil
tire jalve kā hai jis din se maskan
javāb-e-jalva-gāh-e-tūr hai dil
do-ālam ko bhulā deñ kyuuñ na 'aḳhtar'
ki us kī yaad se ma.amūr hai dil
Top Urdushayar.com