aarzū vasl kī rakhtī hai pareshāñ kyā kyā
kyā batā.ūñ ki mire dil meñ haiñ armāñ kyā kyā
ġham azīzoñ kā hasīnoñ kī judā.ī dekhī
dekheñ dikhlā.e abhī gardish-e-daurāñ kyā kyā
un kī ḳhushbū hai fazāoñ meñ pareshāñ har sū
naaz kartī hai havā-e-chamanistāñ kyā kyā
dasht-e-ġhurbat meñ rulāte haiñ hameñ yaad aa kar
ai vatan tere gul o sumbul o raihāñ kyā kyā
ab vo bāteñ na vo rāteñ na mulāqāteñ haiñ
mahfileñ ḳhvāb kī sūrat huiiñ vīrāñ kyā kyā
hai bahār-e-gul-o-lāla mire ashkoñ kī numūd
merī āñkhoñ ne khilā.e haiñ gulistāñ kyā kyā
hai karam un ke sitam kā ki karam bhī hai sitam
shikve sun sun ke vo hote haiñ pashemāñ kyā kyā
gesū bikhre haiñ mire dosh pe kaise kaise
merī āñkhoñ meñ haiñ ābād shabistāñ kyā kyā
vaqt-e-imdād hai ai himmat-e-gustāḳhi-e-shauq
shauq-añgez haiñ un ke lab-e-ḳhandāñ kyā kyā
sair-e-gul bhī hai hameñ bā.is-e-vahshat 'aḳhtar'
un kī ulfat meñ hue chaak garebāñ kyā kyā