Akhtar Shirani

har ek jalwa-e-rangin meri nigah mein hai

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
har ek jalva-e-rañgīñ mirī nigāh meñ hai
ġham-e-firāq kī duniyā dil-e-tabāh meñ hai
kisī kī yaad karam uff are ma.āz-allāh
tabāh ho ke bhī zālim dil-e-tabāh meñ hai
hazār pardoñ meñ o chhupne vaale ye sun le
tirā jamāl mire dāman-e-nigāh meñ hai
jahāñ meñ mujh se bhī nākām-e-ārzū kam haiñ
na rañg aah meñ hai aur na soz aah meñ hai
Top Urdushayar.com