Akhtar Shirani

bujha sa rahta hai dil jab se hain watan se juda

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
bujhā sā rahtā hai dil jab se haiñ vatan se judā
vo sehn-e-bāġh nahīñ sair-e-māhtāb nahīñ
base hue haiñ nigāhoñ meñ vo hasīñ kūche
har ek zarra jahāñ kam ze-āftāb nahīñ
vo bāġh-o-rāġh ke dil-chasp-o-dil-nashīñ manzar
ki jin ke hote hue ḳhuld misl-e-ḳhvāb nahīñ
vo jūebār-e-ravāñ kā tarab-fazā paanī
sharāb se nahīñ kuchh kam agar sharāb nahīñ
ba-rañg-e-zulf pareshāñ vo mauj-hā-e-ravāñ
ki jin kī yaad meñ rātoñ ko fikr-e-ḳhvāb nahīñ
samā rahe haiñ nazar meñ vo mahv-shān-e-haram
haram meñ jin ke sitāre bhī bāryāb nahīñ
vatan kā chheḌ diyā kis ne tazkira 'aḳhtar'
ki chashm-e-shauq ko phir ārzū-e-ḳhvāb nahīñ
Top Urdushayar.com