Akhtar Shirani

yaro ku-e-yar ki baaten karen

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
yaaro kū-e-yār kī bāteñ kareñ
phir gul o gulzār kī bāteñ kareñ
chāndnī meñ ai dil ik ik phuul se
apne gul-ruḳhsār kī bāteñ kareñ
āñkhoñ āñkhoñ meñ luTā.e mai-kade
dīda-e-sarshār kī bāteñ kareñ
ab to miliye bas laḌā.ī ho chukī
ab to chaliye pyaar kī bāteñ kareñ
phir mahak uTThe fazā-e-zindagī
phir gul o ruḳhsār kī bāteñ kareñ
mahshar-e-anvār kar deñ bazm ko
jalva-e-dīdār kī bāteñ kareñ
apnī āñkhoñ se bahā.eñ sail-e-ashk
abr-e-gauhar-bār kī bāteñ kareñ
un ko ulfat hī sahī aġhyār se
ham se kyuuñ aġhyār kī bāteñ kareñ
'aḳhtar' us rañgīñ adā se raat bhar
tāla-e-bedār kī bāteñ kareñ
Top Urdushayar.com