dil-e-mahjūr ko taskīn kā sāmāñ na milā
shahr-e-jānāñ meñ hameñ maskan-e-jānāñ na milā
kūcha-gardī meñ kaTīñ shauq kī kitnī rāteñ
phir bhī us sham-e-tamannā kā shabistāñ na milā
pūchhte manzil-e-salmā kī ḳhabar ham jis se
vādī-e-najd meñ aisā koī insāñ na milā
yuuñ to har rāhguzar par the sitāre raqsāñ
jis kī hasrat thī magar vo mah-e-tābāñ na milā
lāla-o-gul the bahut aam chaman meñ lekin
DhūñDte the jise vo sarv-e-ḳhirāmāñ na milā
jis ke pardoñ se machaltī ho vahī nik.hat-e-shauq
be-ḳhudī kī qasam aisā koī aivāñ na milā
baḳht-e-be-dār kahāñ jalva-e-dil-dār kahāñ
ḳhvāb meñ bhī hameñ vo ġhuncha-e-ḳhandāñ na milā
bekasī tishna-labī dard-e-halāvat-talabī
chāñdnī-rāt meñ bhī chashma-e-haivāñ na milā
yuuñ to har dar pe hī kahte nazar aa.e dāman
khīñchte naaz se jis ko vahī dāmāñ na milā
kis ke dar par na kiye sajde nigāhoñ ne magar
haa.e taqdīr vo ġhārat-gar-e-īmāñ na milā
kaun se baam ko rah rah ke na dekhā lekin
nigah-e-shauq ko vo māh-e-ḳhirāmāñ na milā
dar-e-jānāñ pe fidā karte dil-o-jāñ 'aḳhtar'
vaa.e bar-hāl-e-dil-o-jāñ dar-e-jānāñ na milā