un ras bharī āñkhoñ meñ hayā khel rahī hai
do zahr ke pyāloñ pe qazā khel rahī hai
haiñ nargis-o-gul kis liye mas.hūr-e-tamāshā
gulshan meñ koī shoḳh adā khel rahī hai
us bazm meñ jaa.eñ to ye kahtī haiñ adā.eñ
kyuuñ aa.e ho, kyā sar pe qazā khel rahī hai
us chashm-e-siyah mast pe gesū haiñ pareshāñ
maiḳhāne pe ghanghor ghaTā khel rahī hai
bad-mastī meñ tum ne unheñ kyā kah diyā 'aḳhtar'
kyuuñ shoḳh-nigāhoñ meñ hayā khel rahī hai