Akhtar Shirani

la pila saqi sharab-e-arghawani phir kahan

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
lā pilā saaqī sharāb-e-arġhavānī phir kahāñ
zindagānī phir kahāñ nādāñ javānī phir kahāñ
do ghaḌī mil baiThne ko bhī ġhanīmat jāniye
umr faanī hī sahī ye umr-e-fānī phir kahāñ
aa ki ham bhī ik tarāna jhuum kar gaate chaleñ
is chaman ke tā.eroñ kī ham-zabānī phir kahāñ
hai zamāna ishq-e-salmā meñ gañvā de zindagī
ye zamāna phir kahāñ ye zindagānī phir kahāñ
ek hī bastī meñ haiñ āsāñ hai milnā aa milo
kyā ḳhabar le jaa.e daur-e-āsmānī phir kahāñ
fasl-e-gul jaane ko hai daur-e-ḳhizāñ aane ko hai
ye chaman ye bulbuleñ ye naġhma-ḳhvānī phir kahāñ
phuul chun jī khol kar aish-o-tarab ke phuul chun
mausam-e-gul phir kahāñ fasl-e-javānī phir kahāñ
āḳhirī raat aa ga.ī jī bhar ke mil leñ aaj to
tum se milne degā daur-e-āsmānī phir kahāñ
aaj aa.e ho to sunte jaao ye taaza ġhazal
varna 'aḳhtar' phir kahāñ ye sher-ḳhvānī phir kahāñ
Top Urdushayar.com