Akhtar Shirani

na chheD zahid-e-nadan sharab pine de

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
na chheḌ zāhid-e-nādāñ sharāb piine de
sharāb piine de ḳhāna-ḳharāb piine de
abhī se apnī nasīhat kā zahar de na mujhe
abhī to piine de aur be-hisāb piine de
maiñ jāntā huuñ chhalaktā huā gunāh hai ye
tū is gunāh ko be-ehtisāb piine de
phir aisā vaqt kahāñ ham kahāñ sharāb kahāñ
tilism-e-dahr hai naqsh-e-bar-āb piine de
mire dimāġh kī duniyā kā āftāb hai ye
milā ke barf meñ ye āftāb piine de
kisī hasīna ke bosoñ ke qābil ab na rahe
to in laboñ se hamesha sharāb piine de
samajh ke us ko ġhafūr-ur-rahīm piitā huuñ
na chheḌ zikr-e-azāb-o-savāb piine de
jo ruuh ho chukī ik baar dāġh-dār mirī
to aur hone de lekin sharāb piine de
sharāb-ḳhāne meñ ye shor kyuuñ machāyā hai
ḳhamosh 'aḳhtar'-e-ḳhāna-ḳharāb piine de
Top Urdushayar.com