dil-e-dīvāna-o-andāz bebākāna rakhte haiñ
gadā-e-mai-kada haiñ vaz.a āzādāna rakhte haiñ
mujhe mai-ḳhāna tharrātā huā mahsūs hotā hai
vo mere sāmne sharmā ke jab paimāna rakhte haiñ
ghaTā.eñ bhī to bahkī jā rahī haiñ in adāoñ par
chaman meñ jo qadam rakhte haiñ vo mastāna rakhte haiñ
ba-zāhir ham haiñ bulbul kī tarah mash.hūr harjā.ī
magar dil meñ gudāz-e-fitrat-e-parvāna rakhte haiñ
javānī bhī to ik mauj-e-sharāb-e-tund-o-rañgīñ hai
burā kyā hai agar ham mashrab-e-rindāna rakhte haiñ
kisī maġhrūr ke aage hamārā sar nahīñ jhuktā
faqīrī meñ bhī 'aḳhtar' ġhairat-e-shāhāna rakhte haiñ