Akhtar Shirani

gulzar-e-jahan mein gul ki tarah go shad hain hum shadab hain hum

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
gulzār-e-jahāñ meñ gul kī tarah go shaad haiñ ham shādāb haiñ ham
kahtī hai ye hañs kar sub.h-e-ḳhizāñ sab nāz-e-abas ik ḳhvāb haiñ ham
kis māh-e-laqā ke ishq meñ yuuñ bechain haiñ ham betāb haiñ ham
kirnoñ kī tarah āvāra haiñ ham tāroñ kī tarah be-ḳhvāb haiñ ham
miT jaane pe bhī masrūr haiñ ham murjhāne pe bhī shādāb haiñ ham
shahbā-e-shabāb-o-ishq kā ik bhūlā huā rañgīñ ḳhvāb haiñ ham
fitrat ke jamāl-e-rañgīñ se ham ne bhī uThā.e haiñ parde
barbat hai agar firdaus-e-jahāñ to is ke liye mizrāb haiñ ham
ḳhush-vaqtī hai vaj.h-e-ranj-o-alam gulzār-e-jahāñ meñ ai hamdam
taa.ir na pukāreñ shaad haiñ ham ġhunche na kaheñ shādāb haiñ ham
milne pe gar aa.eñ koī makāñ ḳhālī nahīñ apne jalvoñ se
aur gosha-nashīñ ho jaa.eñ agar kamyāb nahīñ nāyāb haiñ ham
do din ke liye ham aa.e haiñ ik shab kī javānī laa.e haiñ
firdaus-e-sarā-e-hastī meñ ham rañg-e-gul-e-mahtāb haiñ ham
rusvā.ī-e-sher-o-ishq ne vo rutba hameñ 'aḳhtar' baḳhshā hai
faḳhr-e-dakan-o-bañgāl haiñ ham nāz-e-avadh-o-panjāb haiñ ham
Top Urdushayar.com