zamān-e-hijr miTe daur-e-vasl-e-yār aa.e
ilāhī ab to ḳhizāñ jaa.e aur bahār aa.e
sitam-zarīfī-e-fitrat ye kyā muamma hai
ki jis kalī ko bhī sūñghūñ maiñ bū-e-yār aa.e
chaman kī har kalī āmāda-e-tabassum hai
bahār ban ke mirī jān-e-nau-bahār aa.e
haiñ tishna-kām ham un bādaloñ se pūchhe koī
kahāñ bahār kī pariyoñ ke taḳht utaar aa.e
tire ḳhayāl kī be-tābiyāñ ma.āz-allāh
ki ek baar bhulā.eñ to laakh baar aa.e
vo aa.eñ yuuñ mire āġhosh-e-ishq meñ 'aḳhtar'
ki jaise āñkhoñ meñ ik ḳhvāb-e-be-qarār aa.e