na bhuul kar bhī tamannā-e-rañg-o-bū karte
chaman ke phuul agar terī aarzū karte
janāb-e-shaiḳh pahuñch jaate hauz-e-kausar tak
agar sharāb se mai-ḳhāne meñ vazū karte
masarrat aah tū bastī hai kin sitāroñ meñ
zamīñ pe umr huī terī justujū karte
ayāġh-e-bāda meñ aa kar vo ḳhud chhalak paḌtā
gar us ke mast zarā aur haao hū karte
unheñ mafar na thā iqrār-e-ishq se lekin
hayā ko zid thī ki vo pās-e-ābrū karte
pukār uThtā vo aa kar diloñ kī dhaḌkan meñ
ham apne siine meñ gar us kī justujū karte
ġham-e-zamāna ne majbūr kar diyā varna
ye aarzū thī ki bas terī aarzū karte
girāñ thā sāqi-e-daurāñ pe ek sāġhar bhī
to kis umiid pe ham ḳhvāhish-e-subū karte
junūn-e-ishq kī tāsīr to ye thī 'aḳhtar'
ki ham nahīñ vo ḳhud iz.hār-e-ārzū karte