Akhtar Shirani

na tumhaara husn jawan raha na hamara ishq jawan raha

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
na tumhārā husn javāñ rahā na hamārā ishq javāñ rahā
na vo tum rahe na vo ham rahe jo rahā to ġham kā samāñ rahā
na vo baaġh haiñ na ghaTā.eñ haiñ na vo phuul haiñ na fazā.eñ haiñ
na vo nik.hateñ na havā.eñ haiñ na vo be-ḳhudī kā samāñ rahā
na vo dil hai ab na javāniyāñ na vo āshiqī kī kahāniyāñ
na vo ġham na ashk-fishāniyāñ na vo dard-e-dil kā nishāñ rahā
na chaman hai vo na bahār hai na vo bulbuleñ na hazār hai
yahī chār-samt pukār hai na vo rut hai ab na samāñ rahā
na vo umr hai na masarrateñ na vo aish hai na vo ishrateñ
na vo ārzūeñ na hasrateñ na ḳhushī kā nām-o-nishāñ rahā
na nishāñ hai sāqī-o-jām kā na vo bāda-hā-e-chaman-adā
na muġhanniya rahī mahv-e-sāz na saaz mast-e-fuġhāñ rahā
ye bahār-e-gulshan-e-āb-o-gil hai fanā asar to hoñ kyuuñ ḳhajil
vo gul-e-fasurda hai merā dil ki hamesha nazr-e-ḳhizāñ rahā
nahīñ sabr sāqiyā lā bhī de qadah-e-bahār uThā bhī de
abhī sin hai lā ke pilā bhī de ki hamesha kaun javāñ rahā
kahūñ kyā ki rañj-rasīda huuñ maiñ ba-rañg-e-abr ramīda huuñ
nafas-e-shamīm-e-parīda huuñ ki rahā tabāh jahāñ rahā
asar-e-bahār-e-ḳhizāñ asar hai ki hai fasurda mirī nazar
na havā-e-ishrat-e-bāl-o-par na junūn-e-bāġh-e-jināñ rahā
maiñ gul-e-ramīda-e-rañg-o-bū tū bahār-e-mai-kada-e-numū
maiñ hamesha ḳhasta-e-ārzū tū hamesha aish-e-javāñ rahā
na sukūn-e-dil na qarār-e-jāñ na qayām-e-sabr koī zamāñ
ye sarishk-e-ġham kā hai kārvāñ ki yūñhī hamesha ravāñ rahā
tū matā-e-gul-kada-e-nazar gul-e-nau-bahār-e-bahisht-asar
maiñ vo andalīb-e-shikasta par ki hamesha mahv-e-fuġhāñ rahā
na vo soz-o-sāz-e-darūñ hai ab na vo chashm-e-gul-kada-e-gūñ hai ab
na vo sar hai ab na junūñ hai ab na vo zauq-e-sho.ala-chakāñ rahā
hai falak kī badlī huī nazar kahīñ kisī se 'aḳhtar'-e-nāla-gar
ki maiñ us ke jaur-e-alam-asar se hamesha mahv-e-fuġhāñ rahā
Top Urdushayar.com