kis kī āñkhoñ kā liye dil pe asar jaate haiñ
mai-kade haath baḌhāte haiñ jidhar jaate haiñ
dil meñ armān-e-visāl aañkh meñ tūfān-e-jamāl
hosh baaqī nahīñ jaane kā magar jaate haiñ
bhūltī hī nahīñ dil ko tirī mastāna nigāh
saath jaatā hai ye mai-ḳhāna jidhar jaate haiñ
pāsbānān-e-hayā kyā hue ai daulat-e-husn
ham churā kar tirī duz-dīda nazar jaate haiñ
pursish-e-dil to kujā ye bhī na pūchhā us ne
ham musāfir kidhar aa.e the kidhar jaate haiñ
chashm-e-hairāñ meñ samā.e haiñ ye kis ke jalve
tuur har gaam pe raqsāñ haiñ jidhar jaate haiñ
jis tarah bhūle musāfir koī sāmāñ apnā
ham yahāñ bhuul ke dil aur nazar jaate haiñ
kitne bedard haiñ is shahr ke rahne vaale
raah meñ chhīn ke dil kahte haiñ ghar jaate haiñ
agle vaqtoñ meñ luTā karte the rah-rau aksar
ham to is ahd meñ bhī luT ke magar jaate haiñ
faizabad se pahuñchā hameñ ye faiz 'aḳhtar'
ki jigar par liye ham dāġh-e-jigar jaate haiñ