yaad aao mujhe lillāh na tum yaad karo
apnī aur merī javānī ko na barbād karo
sharm rone bhī na de bekalī sone bhī na de
is tarah to mirī rātoñ ko na barbād karo
had hai piine kī ki ḳhud pīr-e-muġhāñ kahtā hai
is burī tarah javānī ko na barbād karo
yaad aate ho bahut dil se bhulāne vaalo
tum hameñ yaad karo tum hameñ kyuuñ yaad karo
āsmāñ rutba mahal apne banāne vaalo
dil kā ujḌā huā ghar bhī koī ābād karo
ham kabhī aa.eñ tire ghar magar ā.eñge zarūr
tum ne ye va.ada kiyā thā ki nahīñ yaad karo
chāñdnī raat meñ gul-gasht ko jab jaate the
aah azrā kabhī us vaqt ko bhī yaad karo
maiñ bhī shā.ista-e-altāf-e-sitam huuñ shāyad
mere hote hue kyuuñ ġhair pe bedād karo
sadqe us shoḳh ke 'aḳhtar' ye likhā hai jis ne
ishq meñ apnī javānī ko na barbād karo