vaada us māh-rū ke aane kā
ye nasība siyāh-ḳhāne kā
kah rahī hai nigāh-e-duz-dīda
ruḳh badalne ko hai zamāne kā
zarre zarre meñ be-hijāb haiñ vo
jin ko daavā hai muñh chhupāne kā
hāsil-e-umr hai shabāb magar
ik yahī vaqt hai gañvāne kā
chāndnī ḳhāmushī aur āḳhir shab
aa ki hai vaqt dil lagāne kā
hai qayāmat tire shabāb kā rañg
rañg badlegā phir zamāne kā
terī āñkhoñ kī ho na ho taqsīr
naam rusvā sharāb-ḳhāne kā
rah ga.e ban ke ham sarāpā ġham
ye natīja hai dil lagāne kā
jis kā har lafz hai sarāpā ġham
maiñ huuñ unvān us fasāne kā
us kī badlī huī nazar tauba
yuuñ badaltā hai ruḳh zamāne kā
dekhte haiñ hameñ vo chhup chhup kar
parda rah jaa.e muñh chhupāne kā
kar diyā ḳhūgar-e-sitam 'aḳhtar'
ham pe ehsān hai zamāne kā