tamannāoñ ko zinda ārzūoñ ko javāñ kar luuñ
ye sharmīlī nazar kah de to kuchh gustāḳhiyāñ kar luuñ
bahār aa.ī hai bulbul dard-e-dil kahtī hai phūloñ se
kaho to maiñ bhī apnā dard-e-dil tum se bayāñ kar luuñ
hazāroñ shoḳh armāñ le rahe haiñ chuTkiyāñ dil meñ
hayā un kī ijāzat de to kuchh bebākīyāñ kar luuñ
koī sūrat to ho duniyā-e-fānī meñ bahalne kī
Thahar jā ai javānī mātam-e-umr-e-ravāñ kar luuñ
chaman meñ haiñ baham parvāna o sham.a o gul o bulbul
ijāzat ho to maiñ bhī hāl-e-dil apnā bayāñ kar luuñ
kise mālūm kab kis vaqt kis par gir paḌe bijlī
abhī se maiñ chaman meñ chal kar ābād āshiyāñ kar luuñ
bar aa.eñ hasrateñ kyā kyā agar maut itnī fursat de
ki ik baar aur zinda sheva-e-ishq-e-javāñ kar luuñ
mujhe donoñ jahāñ meñ ek vo mil jaa.eñ gar 'aḳhtar'
to apnī hasratoñ ko be-niyāz-e-do-jahāñ kar luuñ