Akhtar Shirani

ai dil wo aashiqi ke fasane kidhar gae

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
ai dil vo āshiqī ke fasāne kidhar ga.e
vo umr kyā huī vo zamāne kidhar ga.e
vīrāñ haiñ sahn o baaġh bahāroñ ko kyā huā
vo bulbuleñ kahāñ vo tarāne kidhar ga.e
hai najd meñ sukūt havāoñ ko kyā huā
lailā.eñ haiñ ḳhamosh divāne kidhar ga.e
ujḌe paḌe haiñ dasht ġhazāloñ pe kyā banī
suune haiñ kohsār divāne kidhar ga.e
vo hijr meñ visāl kī ummīd kyā huī
vo rañj meñ ḳhushī ke bahāne kidhar ga.e
din raat mai-kade meñ guzartī thī zindagī
'aḳhtar' vo be-ḳhudī ke zamāne kidhar ga.e
Top Urdushayar.com