Akhtar Shirani

us mah-jabin se aaj mulaqat ho gai

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
us mah-jabīñ se aaj mulāqāt ho ga.ī
bedard āsmān ye kyā baat ho ga.ī
āvārgān-e-ishq kā maskan na pūchhiye
paḌ rahte haiñ vahīñ pe jahāñ raat ho ga.ī
zikr-e-shab-e-visāl ho kyā qissa muḳhtasar
jis baat se vo Darte the vo baat ho ga.ī
masjid ko ham chale ga.e mastī meñ bhuul kar
ham se ḳhatā ye pīr-e-ḳharābāt ho ga.ī
pichhle ġhamoñ kā zikr hī kyā jab vo mil ga.e
ai āsmāñ talāfi-e-māfāt ho ga.ī
zāhid ko zindagī hī meñ kausar chakhā diyā
rindoñ se aaj ye bhī karāmāt ho ga.ī
bechain rakhne vaale pareshāñ hoñ ḳhud na kyuuñ
āḳhir ko terī zulf mirī raat ho ga.ī
jhūlā jhulā.eñ chal ke hasīnoñ ko baaġh meñ
gujrāt meñ sunā hai ki barsāt ho ga.ī
kyā fā.eda ab 'aḳhtar' agar pārsā bane
jab saarī umr nazr-e-ḳharābāt ho ga.ī
Top Urdushayar.com