Akhtar Shirani

dil-e-shikasta harif-e-shabab ho na saka

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
dil-e-shikasta harīf-e-shabāb ho na sakā
ye jām-e-zarf navāz-e-sharāb ho na sakā
kuchh aise rahm ke qābil the ibtidā hī se ham
ki un se bhī sitam-e-be-hisāb ho na sakā
nazar na aayā kabhī shab ko un kā jalva-e-ruḳh
ye āftāb kabhī māhtāb ho na sakā
nigāh-e-faiz se mahrūm bartarī ma.alūm
sitāra chamkā magar āftāb ho na sakā
hai jaam ḳhālī to phīkī hai chāñdnī kaisī
ye sail-e-nūr sitam hai sharāb ho na sakā
ye mai chhalak ke bhī us husn ko pahuñch na sakī
ye phuul ghul ke bhī us kā shabāb ho na sakā
kisī kī shoḳh-navā.ī kā hosh thā kis ko
maiñ nā-tavāñ to harīf-e-ḳhitāb ho na sakā
huuñ tere vasl se māyūs is qadar goyā
kabhī jahāñ meñ koī kāmyāb ho na sakā
vo pūchhte haiñ tire dil kī aarzū kyā hai
ye ḳhvāb haa.e kabhī merā ḳhvāb ho na sakā
talāsh-e-ma.anī-e-hastī meñ falsafa na ḳhirad
ye raaz aaj talak be-hijāb ho na sakā
sharāb-e-ishq meñ aisī kashish sī thī 'aḳhtar'
ki laakh zabt kiyā ijtināb ho na sakā
Top Urdushayar.com