Akhtar Shirani

wo kabhi mil jaen to kya kijiye

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
vo kabhī mil jaa.eñ to kyā kījiye
raat din sūrat ko dekhā kījiye
chāndnī rātoñ meñ ik ik phuul ko
be-ḳhudī kahtī hai sajda kījiye
jo tamannā bar na aa.e umr bhar
umr bhar us kī tamannā kījiye
ishq kī rañgīniyoñ meñ Duub kar
chāndnī rātoñ meñ royā kījiye
pūchh baiThe haiñ hamārā haal vo
be-ḳhudī tū hī batā kyā kījiye
ham hī us ke ishq ke qābil na the
kyuuñ kisī zālim kā shikva kījiye
aap hī ne dard-e-dil baḳhshā hameñ
aap hī is kā mudāvā kījiye
kahte haiñ 'aḳhtar' vo sun kar mere sher
is tarah ham ko na rusvā kījiye
Top Urdushayar.com