hamāre haath meñ kab sāġhar-e-sharāb nahīñ
hamāre qadmoñ pe kis roz māhtāb nahīñ
jahāñ meñ ab koī sūrat pa.e-savāb nahīñ
vo mai-kade nahīñ saaqī nahīñ sharāb nahīñ
shab-e-bahār meñ zulfoñ se khelne vaale
tire baġhair mujhe ārzū-e-ḳhvāb nahīñ
chaman meñ bulbuleñ aur anjuman meñ parvāne
jahāñ meñ kaun ġham-e-ishq se ḳharāb nahīñ
ġham, aah ishq ke ġham kā koī nahīñ mausam
bahār ho ki ḳhizāñ kab ye iztirāb nahīñ
umīd-e-pursish-e-ahvāl ho to kyūñkar ho
salām kā bhī tirī bazm meñ javāb nahīñ
vatan kā chheḌ diyā kis ne tazkira 'aḳhtar'
ki chashm-e-shauq ko phir ārzū-e-ḳhvāb nahīñ