bahār aa.ī hai mastāna ghaTā kuchh aur kahtī hai
magar un shoḳh nazroñ kī hayā kuchh aur kahtī hai
rihā.ī kī ḳhabar kis ne uḌaa.ī sehn-e-gulshan meñ
asīrān-e-qafas se to sabā kuchh aur kahtī hai
bahut ḳhush hai dil-e-nādāñ havā-e-kū-e-jānāñ meñ
magar ham se zamāne kī havā kuchh aur kahtī hai
tū mere dil kī sun āġhosh ban kar kah rahā hai kuchh
tirī nīchī nazar to jaane kyā kuchh aur kahtī hai
mirī jānib se kah denā sabā lahore vāloñ se
ki is mausam meñ dehlī kī havā kuchh aur kahtī hai
huī muddat ke mai-noshī se tauba kar chuke 'aḳhtar'
magar dehlī kī mastāna fazā kuchh aur kahtī hai