Akhtar Shirani

yaqin-e-wada nahin tab-e-intizar nahin

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
yaqīn-e-vāda nahīñ tāb-e-intizār nahīñ
kisī tarah bhī dil-e-zār ko qarār nahīñ
shaboñ ko ḳhvāb nahīñ ḳhvāb ko qarār nahīñ
ki zeb-e-dosh vo gesu-e-mushk-bār nahīñ
kalī kalī meñ samā.ī hai nik.hat-e-salmā
shamīm-e-hūr hai ye bū-e-nau-bahār nahīñ
kahāñ kahāñ na hue māh-rū judā mujh se
kahāñ kahāñ mirī ummīd kā mazār nahīñ
ġhamoñ kī fasl hamesha rahī tar o taaza
ye vo ḳhizāñ hai ki sharminda-e-bahār nahīñ
bahār aa.ī hai aise meñ tum bhī aa jaao
ki zindagī kā ba-rañg-e-gul e'tibār nahīñ
kisī kī zulf-e-pareshāñ kā sāya-e-raqsāñ hai
fazā meñ bāl-fishāñ abr-e-nau-bahār nahīñ
sitāra-vār vo pahlū meñ aa ga.e shab ko
sahar se kah do ki mahfil meñ aaj baar nahīñ
gul-e-fasurda bhī ik turfa husn rakhtā hai
ḳhizāñ ye hai to mujhe hasrat-e-bahār nahīñ
har ek jaam pe ye naġhma-e-hazīñ saaqī
ki is javāni-e-fānī kā e'tibār nahīñ
ḳhudā ne baḳhsh diye mere dil ko ġham itne
ki ab maiñ apne gunāhoñ pe sharmsār nahīñ
chaman kī chāndnī rāteñ haiñ kis qadar vīrāñ
ki is bahār meñ vo māh-e-nau-bahār nahīñ
sharīk-e-soz haiñ parvāne sham.a ke 'aḳhtar'
hamāre dil kā magar koī ġham-gusār nahīñ
Top Urdushayar.com