Akhtar Shirani

kuchh to tanhai ki raaton mein sahaara hota

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
kuchh to tanhā.ī kī rātoñ meñ sahārā hotā
tum na hote na sahī zikr tumhārā hotā
tark-e-duniyā kā ye daavā hai fuzūl ai zāhid
bār-e-hastī to zarā sar se utārā hotā
vo agar aa na sake maut hī aa.ī hotī
hijr meñ koī to ġham-ḳhvār hamārā hotā
zindagī kitnī masarrat se guzartī yā rab
aish kī tarah agar ġham bhī gavārā hotā
azmat-e-girya ko kotāh-nazar kyā samjheñ
ashk agar ashk na hotā to sitārā hotā
lab-e-zāhid pe hai afsāna-e-hūr-e-jannat
kaash is vaqt mirā anjuman-ārā hotā
ġham-e-ulfat jo na miltā ġham-e-hastī miltā
kisī sūrat to zamāne meñ guzārā hotā
kis ko fursat thī zamāne ke sitam sahne kī
gar na us shoḳh kī āñkhoñ kā ishārā hotā
koī hamdard zamāne meñ na paayā 'aḳhtar'
dil ko hasrat hī rahī koī hamārā hotā
Top Urdushayar.com