āshnā ho kar taġhāful āshnā kyuuñ ho ga.e
bā-vafā the tum to āḳhir bevafā kyuuñ ho ga.e
aur bhī rahte abhī kuchh din nazar ke sāmne
dekhte hī dekhte ham se ḳhafā kyuuñ ho ga.e
in vafādārī ke vādoñ ko ilāhī kyā huā
vo vafā.eñ karne vaale bevafā kyuuñ ho ga.e
kis tarah dil se bhulā baiThe hamārī yaad ko
is tarah pardes jā kar bevafā kyuuñ ho ga.e
tum to kahte the ki ham tujh ko na bhūleñge kabhī
bhuul kar ham ko taġhāful āshnā kyuuñ ho ga.e
ham tumhārā dard-e-dil sun sun ke hañste the kabhī
aaj rote haiñ ki yuuñ dard-āshnā kyuuñ ho ga.e
chāñd ke TukḌe bhī nazroñ meñ samā sakte nahīñ
kyā batā.eñ ham tire dar ke gadā kyuuñ ho ga.e
ye javānī ye ghaTā.eñ ye havā.eñ ye bahār
hazrat-e-'aḳhtar' abhī se pārsā kyuuñ ho ga.e