kaam aa sakīñ na apnī vafā.eñ to kyā kareñ
us bevafā ko bhuul na jaa.eñ to kyā kareñ
mujh ko ye e'tirāf duāoñ meñ hai asar
jaa.eñ na arsh par jo duā.eñ to kyā kareñ
ik din kī baat ho to use bhuul jaa.eñ ham
nāzil hoñ dil pe roz balā.eñ to kyā kareñ
zulmat-ba-dosh hai mirī duā-e-āshiqī
tāroñ kī mish.ale na churā.eñ to kyā kareñ
shab bhar to un kī yaad meñ taare ginā kiye
taare se din ko bhī nazar aa.eñ to kyā kareñ
ahd-e-tarab kī yaad meñ royā kiye bahut
ab muskurā ke bhuul na jaa.eñ to kyā kareñ
ab jī meñ hai ki un ko bhulā kar hī dekh leñ
vo baar baar yaad jo aa.eñ to kyā kareñ
va.ade ke e'tibār meñ taskīn-e-dil to hai
ab phir vahī fareb na khā.eñ to kyā kareñ
tark-e-vafā bhī jurm-e-mohabbat sahī magar
milne lageñ vafā kī sazā.eñ to kyā kareñ