Akhtar Shirani

na wo KHizan rahi baqi na wo bahaar rahi

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
na vo ḳhizāñ rahī baaqī na vo bahār rahī
rahī to merī kahānī hī yādgār rahī
vahī nazar hai nazar jo ba.īñ-hama pastī
sitāra-gīr rahī kahkashāñ shikār rahī
shab-e-bahār meñ tāroñ se khelne vaale
kisī kī aañkh bhī shab bhar sitāra-bār rahī
tamām umr rahā garche maiñ tahī-pahlū
basī huī mire pahlū meñ bū-e-yār rahī
koī aziiz na Thahrā hamāre dafn ke baad
rahī jo paas to sham.a sar-e-mazār rahī
vo phuul huuñ jo khilā ho ḳhizāñ ke mausam meñ
tamām umr mujhe hasrat-e-bahār rahī
kabhī na bhūleñgī us shab kī lazzateñ 'aḳhtar'
ki mere siine pe vo zulf-e-mushk-bār rahī
Top Urdushayar.com