Akhtar Shirani

aao be-parda tumhein jalwa-e-pinhan ki qasam

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
aao be-parda tumheñ jalva-e-pinhāñ kī qasam
ham na chheḌeñge hameñ zulf-e-pareshāñ kī qasam
chāk-e-dāmāñ kī qasam chāk-e-garebāñ kī qasam
hañsne vaale tujhe is hāl-e-pareshāñ kī qasam
mere armān se vāqif nahīñ sharmā.eñge aap
aap kyuuñ khāte haiñ nāhaq mire armāñ kī qasam
niind aa.e na kabhī tujh se bichhaḌ kar zālim
apnī āñkhoñ kī qasam tere shabistāñ kī qasam
lab-e-jānāñ pe fidā āriz-e-jānāñ ke nisār
shām-e-rañgīñ kī qasam sub.h-e-daraḳhshāñ kī qasam
aaj tak sub.h-e-vatan yaad hai ham ko 'aḳhtar'
dard-e-hijrāñ kī qasam shām-e-ġharībāñ kī qasam
Top Urdushayar.com