Akhtar Shirani

dil mein KHayal-e-nargis-e-jaanana aa gaya

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
dil meñ ḳhayāl-e-nargis-e-jānāna aa gayā
phūloñ se kheltā huā dīvāna aa gayā
bādal ke uThte hī mai o paimāna aa gayā
bijlī ke saath saath parī-ḳhāna aa gayā
mastoñ ne is adā se kiyā raqs-e-nau-bahār
paimāna kyā ki vajd meñ mai-ḳhāna aa gayā
us chashm-e-mai-farosh kī tāsīr kyā kahūñ
hoñToñ tak aaj aap hī paimāna aa gayā
mālūm kis ko qais kī dīvāngī kī shaan
hañgāma sā bapā hai ki dīvāna aa gayā
'aḳhtar' ġhazab thī ahd-e-javānī kī dāstāñ
āñkhoñ ke aage ek parī-ḳhāna aa gayā
Top Urdushayar.com