Akhtar Shirani

agar wo apne hasin chehre ko bhul kar be-naqab kar de

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
agar vo apne hasīn chehre ko bhuul kar be-naqāb kar de
to zarre ko māhtāb aur māhtāb ko āftāb kar de
tirī mohabbat kī vādiyoñ meñ mirī javānī se duur kyā hai
jo saada paanī ko ik nashīlī nazar meñ rañgīñ sharāb kar de
harīm-e-ishrat meñ sone vaale shamīm-e-gesū kī mastiyoñ se
mirī javānī kī saada rātoñ ko ab to sarshār ḳhvāb kar de
maze vo paa.e haiñ aarzū meñ ki dil kī ye aarzū hai yārab
tamām duniyā kī ārzūeñ mire liye intiḳhāb kar de
nazar nā aane pe hai ye hālat ki jañg hai shaiḳh-o-barahman meñ
ḳhabar nahīñ kyā se kyā ho duniyā jo ḳhud ko vo be-naqāb kar de
mire gunāhoñ kī shorisheñ is liye ziyāda rahī haiñ yārab
ki in kī gustāḳhiyoñ se tū apne afv ko be-hisāb kar de
ḳhudā na laa.e vo din ki terī sunahrī nīndoñ meñ farq aa.e
mujhe to yuuñ apne hijr meñ umr bhar ko bezār-e-ḳhvāb kar de
maiñ jān-o-dil se tasavvur-e-husn-e-dost kī mastiyoñ ke qurbāñ
jo ik nazar meñ kisī ke be-kaif āñsuoñ ko sharāb kar de
urūs-e-fitrat kā ek khoyā huā tabassum hai jis ko 'aḳhtar'
kahīñ vo chāhe sharāb kar de kahīñ vo chāhe shabāb kar de
Top Urdushayar.com