Akhtar Shirani

nikhat-e-zulf se nindon ko basa de aa kar

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
nik.hat-e-zulf se nīndoñ ko basā de aa kar
merī jaagī huī rātoñ ko sulā de aa kar
fikr-e-fardā o ġham-e-dosh bhulā de aa kar
phir usī naaz se dīvāna banā de aa kar
ishq ko naġhma-e-ummīd sunā de aa kar
dil kī soī huī qismat ko jagā de aa kar
kis qadar tiira o tārīk hai duniyā-e-hayāt
jalva-e-husn se ik sham.a jalā de aa kar
ishq kī chāndnī rāteñ mujhe yaad aatī haiñ
umr-e-rafta ko mirī mujh se milā de aa kar
zindagī ban ke mire dil meñ samā jā salmā
maut ik parda hai ye parda uThā de aa kar
aag sī dil meñ lagā jaatā hai terā har ḳhat
aa mire ḳhirman-e-hastī ko jalā de aa kar
terī furqat meñ mire sher haiñ kitne ġhamgīñ
muskurātī huī nazroñ se hañsā de aa kar
phir vahī ham hoñ vahī din hoñ vahī rāteñ hoñ
ahd-e-rafta ko phir ā.īna dikhā de aa kar
shauq-e-nādīda meñ lazzat hai magar naaz nahīñ
aa mire ishq ko maġhrūr banā de aa kar
shab-e-furqat pe mirī hañste haiñ ai ḳhanda-e-nūr
mere qadmoñ pe sitāroñ ko girā de aa kar
tishna-e-husn huuñ ai sāqī-mai-ḳhāna-e-husn
apne hoñToñ se phir ik jaam pilā de aa kar
kab talak raunaq-e-shām-e-avadh ai māh-e-ravāñ
shām-e-lahore ko bhī sub.h banā de aa kar
ho chukī sair-e-bahārāñ-kada-e-qaisar-bāġh
bāġh-e-lawrence meñ bhī phuul khilā de aa kar
gomtī dekh chukī jalva-e-āriz kī bahār
sat.h-e-rāvī ko bhī ā.īna banā de aa kar
terā rūmān nayā ḳhvāb hai 'aḳhtar' ke liye
aa aur is ḳhvāb kī tābīr batā de aa kar
Top Urdushayar.com