Ahmad Mushtaq

kis shai pe yahan waqt ka saya nahin hota

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
kis shai pe yahāñ vaqt kā saaya nahīñ hotā
ik ḳhvāb-e-mohabbat hai ki būḌhā nahīñ hotā
vo vaqt bhī aatā hai jab āñkhoñ meñ hamārī
phirtī haiñ vo shakleñ jinheñ dekhā nahīñ hotā
bārish vo barastī hai ki bhar jaate haiñ jal-thal
dekho to kahīñ abr kā TukḌā nahīñ hotā
ghir jaatā hai dil dard kī har band galī meñ
chāho ki nikal jaa.eñ to rasta nahīñ hotā
yādoñ pe bhī jam jaatī hai jab gard-e-zamāna
miltā hai vo paiġhām ki pahuñchā nahīñ hotā
tanhā.ī meñ karnī to hai ik baat kisī se
lekin vo kisī vaqt akelā nahīñ hotā
kyā us se gila kījiye barbādī-e-dil kā
ham se bhī to iz.hār-e-tamannā nahīñ hotā
Top Urdushayar.com