Ahmad Mushtaq

ek phul mere pas tha ek shama mere sath thi

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
ik phuul mere paas thā ik sham.a mere saath thī
bāhar ḳhizāñ kā zor thā andar añdherī raat thī
aise pareshāñ to na the TuuTe hue sanñāhaTe
jab ishq kī tere mire ġham par basar-auqāt thī
kuchh tum kaho tum ne kahāñ kaise guzāre roz-o-shab
apne na milne kā sabab to gardish-e-hālāt thī
ik ḳhāmushī thī tar-ba-tar dīvār-e-mizhgāñ se udhar
pahuñchā huā paiġhām thā barsī huī barsāt thī
sab phuul darvāzoñ meñ the sab rañg āvāzoñ meñ the
ik shahr dekhā thā kabhī us shahr kī kyā baat thī
ye haiñ na.e logoñ ke ghar sach hai ab un ko kyā ḳhabar
dil bhī kisī kā naam thā ġham bhī kisī kī zaat thī
Top Urdushayar.com